GHALIB
Ghalib sharab peene de masjid mein baith kar
ya woh jagah bata jahan Khuda nahi.
IQBAL
Masjid Khuda ka ghar hai peene ki jagah nahi
Kafir ke dil mein jaa wahan Khuda nahi..
FARAZ
Kafir ke dil se aaya hun yeh dekh kar Faraz
Khuda maujood hai wahan,
usay pata nahi..
WASI
Khuda to maujood dunia mein har jagah
Tu Jannat mein jaa, wahan peene se mana nahi..
SAQI
Peeta hun saqi, gam-e-duniya bhulaane ke liye
Jannat mein kaun sa gham hai, is liye waha mana nahi..
#copied #colected